Daily Calendar - Quran & Hadith - 30 January 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“ Haraam cheezon se bacho, tum sab se bade ibaadat guzaar ban jaaoge”.* [Book of Tirmizi, 2305]
https://youtu.be/ihrtXphACas
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Allah ke nazdeek yeh baat badi qaabile nafrat hai ke tum aisi baat kaho jo karo nahi”.* [Quran: Chapter/Surah-As-Saffat: Verse/Ayat no. 03]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai”.* [Book of Musnade Ahmed, 17155]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Allah Ta’ala farmaata hai: Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jinn ya insaan ne paani piya, toh qayaamat ke din Allah Ta’ala us ko sawaab ata farmaayega”.* [Book of Sahi-ibn-e-Khuzaima, 1292]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *"Jo shakhs zulm wa ziyaadati ke taur par aisa (naahaq maal kaana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bahot aasaan hai”.* [Quran: Chapter/Surah-E-Nisa: Verse/Ayat no. 30]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80