Posts

Showing posts from January, 2022

Mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho aur mujh par jhooth na bolo

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *“ Mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho aur mujh par jhooth na bolo.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah bin Amr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ (Mera paigham) logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho, aur Bani Israel ke waaqeyaat (Qisse) tum bayan kar sakte ho, in mein koyi harj nahin. Aur jisney mujh par jaanbujh kar jhooth bola, usey jahannam mein apney thikaney ke liye tayyar rahna chahiye” .* [Sahih Bukhari, Jild 4, 3461] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्लाह बिन अम्र (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ (मेरा पैग़ाम) लोगों तक पहुंचाओ चाहे एक ही आयत हो, और बनी इस्राइल के वाक़ेयात (क़िस्से) तुम बयान कर सकते हो, इन में कोई हर्ज नहीं । और जिसने मुझ पर जानबूझ कर झूठ बोला, उसे जहन्नम में अपने ठिकाने के लिए तैयार रहना चाहिए । "* [सहीह बुख़

Daily Calendar - Quran & Hadith - 31 January 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“ Apne marne waalon ki achchhaiyon ko yaad kiya karo aur un ki buraaiyon ko bayaan na karo”.*  [Book of Abu Daaood, 4900] https://youtu.be/i3mlXj1mw5w •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“ Kabhi buraai ka badla buraai se nahein dete the balke maaf kar dete the”.*  [Book of Musnade Ahmed, 25990] https://youtu.be/OHK6W03MZUg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:   *“ Bure akhlaaq amal ko is tarah kharaab kar dete hain, jis tarah sirka shahad ko kharaab kar deta hai”.*  [Book of Tabraani Kabeer, 10777] https://youtu.be/7nw7_TNfids •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Allah Ta’ala apne raham dil bandon par hi raham karte hain”.*  [Book of Bukhari, 1284] https://youtu.be/sMG-mf1lquw •┈┈┈┈••✦✿

Sone aur chandi ke pahaad kharch karne se bhi zyada afzal azkar

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *” Sone aur chandi ke pahaad kharch karne se bhi zyada afzal azkar .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jis shakhs ko raat ki ibaadat (yani Tahajjud ki namaz) mushkil ho aur wo maal ke kharch karne mein bakhil ho ya dushman se qital karne mein buzdil ho usey chahiye ke 'SubhanAllahi wa bihamdihi' bahut zyada se zyada padha karen kyunki ye kalmat Allah Subhanahu ke nazdik sone aur chandi ke pahaad kharch karne se bhi zyada mehboob aur pasandeeda hain ".* --- * سُبحانَ اللّهِ وَبِحَمدِهِ *  --- * SubhanAllahi wa bihamdihi .* --- * Allah ki zaat paak hai aur Usee ki hamd hai .* [Tabrani Al-Kabeer, 7795-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने  फ़रमाया - *" जिस शख्स को रात की इबादत (यानि तहज्जुद की नमाज़) मुश्किल हो और वो माल के खर्च करने में बखील हो या दुश्मन से क़िताल

Daily Calendar - Quran & Hadith - 30 January 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“ Haraam cheezon se bacho, tum sab se bade ibaadat guzaar ban jaaoge”.*  [Book of Tirmizi, 2305] https://youtu.be/ihrtXphACas •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *"Allah ke nazdeek yeh baat badi qaabile nafrat hai ke tum aisi baat kaho jo karo nahi”.*  [Quran: Chapter/Surah-As-Saffat: Verse/Ayat no. 03] https://youtu.be/CaUoQaFWV5c •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:   *“ Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai”.*  [Book of Musnade Ahmed, 17155] https://youtu.be/O5SLUttQN3M •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“ Allah Ta’ala farmaata hai: Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jinn ya insaan ne paani piya, toh qayaamat ke din Allah Ta’

Jisne namaz mein Umm Al-Quran (Surah Al-Fatihah) nahi padhi to uski namaz poori nahin huyi

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Jisne namaz mein Umm Al-Quran (Surah Al-Fatihah) nahi padhi to uski namaz poori nahin huyi...” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Jisne namaz mein Umm Al-Quran (Surah Al-Fatihah) nahi padhi to uski namaz poori nahin huyi aur uski namaz naaqis (adhuri) hai”. * Yeh jumla Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne teen baar irshaad farmaya. Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se logo ne poocha - * “Jab hum imam ke peeche hoon to kya karein?” * Unhone jawab mein kaha - * “Us waqt tum aahista se Surah Al-Fatihah padh liya karo, kyunki main ne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko yeh farmate huye suna hai ki Allah Subhanahu farmata hai: ‘Namaz, Mere aur Mere bando ke darmiyan aadhi-aadhi taqseem ho chuki hai aur Mera banda jo sawaal karta hai woh poora kiya jaata ha

Daily Calendar - Quran & Hadith - 29 January 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Tum mein behtareen log woh hain, jo apni biwiyon ke saath achchha sulook karte hain”.*  [Book of Tirmizi, 1162] https://youtu.be/ThVKjWpGLBI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Sharm wa haya bhalaai laati hai”.*  [Book of Bukhari, 6117] https://youtu.be/e0vcQPRJwg4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ko:   *“Jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past (dheemi) karte the”.*  [Book of Tirmizi, 2745] https://youtu.be/ESl0RqVJeqY •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:  *"Woh shakhs kaamiyaab huwa jis ne nafs ko paak wa saaf kar liya”.*  [Quran: Chapter/Surah-E-Shams: Verse/Ayat no. 09] https://youtu.be/_MskgD0UpdI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sa

Jannat ke qareeb aur Dozakh se duri waale amal ki dua

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *” Jannat ke qareeb aur Dozakh se duri waale amal ki dua .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Aisha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki - *" Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne unko ye dua sikhayee thi ".* --- * اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْجَنَّةَ وَمَا قَرَّبَ إِلَيْهَا مِنْ قَوْلٍ أَوْ عَمَلٍ وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ النَّارِ وَمَا قَرَّبَ إِلَيْهَا مِنْ قَوْلٍ أَوْ عَمَلٍ *  --- * Allahumma inni as'alukal jannata wa ma qarraba ilaiha min qawlin aw amalin wa a'uzubika minan-naari wa ma qarraba ilaiha min qawlin aw amal .* --- * Ya Allah, main Tujhse jannat aur uske qareeb karne waale qaul aur amal ka sawaal karta hun, Ya Allah, main Tujhse jahannam aur uske qareeb karne wale qaul aur amal se Teri panaah chaahta hun .* [Sunan Ibn Majah, Jild 3, 3846-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की - *" रसूल-अल्लाह, मुहम्म

Daily Calendar - Quran & Hadith - 28 January 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Sab se bura taajir woh hai jo adaa karne mein bhi bura ho aur wasool karne mein bhi bura ho”.*  [Book of Tirmizi, 2191] https://youtu.be/NPti71eFAfw •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Naahaq faisla karne waala qaazi (judge) jahannam mein jaayega”.*  [Book of Abu Daaood, 3573] https://youtu.be/Ba62yfwWqgI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya : *"Aye mere parwardigaar! Mujhe hikmat ataa farma aur mujhe nek logon mein shaamil farma”.* [Quran: Chapter/Surah-e-Ash-Shu’ara: Verse/Ayat no. 83] https://youtu.be/_zosokn_2fI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya:  *“Jis musalmaan ki do betiyaan ho aur jab tak woh donon us ke paas rahein, woh un ke saath achcha bartaao kare, toh yahi betiyaan us ko jannat

Dozakh se bachane wale Azkar | Adhkar which will become a shield from Hellfire

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Azkar reminder: *"Dozakh se bachane wale Azkar."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- *سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ* --- *SubhanAllah walhamdulillah wala ilaaha illAllah wallahuAkbar* --- *अल्लाहुम्मा इन्नी असअलुकल-अफ़वा वा अल-आफ़िया फीद दुनिया वा अल आखिरा l*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya- "*Apna bachao (dhaal) thaam lo".* Sahaba (radi Allahu anhuma) ne arz kiya ki, *"Kya dushman aa gaye hain ki ham apna hatiyar aur bachaon ikhtiyar kar le?"* To Aap Rasool-Allah (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *"Dushman toh nahi aaye lekin tum Dozakh se apna bachaon ikhtiyar kar lo aur wo ye hain ke tum kahon <سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ> kyun ke ye cheez aage Qayamat ke din

“Main Aadam ki aulad ka Sardar hounga Qayamat ke din, aur...”

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Main Aadam ki aulad ka Sardar hounga Qayamat ke din, aur...” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Main Aadam ki aulad ka Sardar hounga Qayamat ke din, aur sabse pehley meri Qabr phategi (yaani khulegi), aur sab se pehle main Shafaat karunga aur sabse pehley meri Shafaat Qubul hogi”. * [Sahih Muslim, Jild 6, 5940] ❷ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Bakheel woh hai jiske saamney mera zikr ho aur woh mujh par Durud na bhejey”. *   [Jamia At-Tirmizi, Jild 2, 1469-Sahih] ---- _ اللَّهُمَّ صل على مُحمد و على آل محمد _ ---- _ Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Aali Muhammad _ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “मैं आदम की औलाद का सरदार होऊंगा क़यामत के दिन, और सबसे पहले मेरी क़ब्र फटेगी (यानी खुलेगी), और  सबसे पहले में शफाअ

Qabro ki ziyarat karo kyonke, yeh tumhey aakhirat ki yaad dilaati hain.

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *“ Qabro ki ziyarat karo kyonke, yeh tumhey aakhirat ki yaad dilaati hain. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Tum Qabro ki ziyarat kiya karo, kyonke woh tumhey maut ki yaad dilaati hain” .* [Sahih Muslim, Jild 2, 2259] ❷ Hazrat Abdullah b. Buraida (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Mainey tumhey mana kiya tha Qabro ki ziyarat karney se, lekin ab tum ziyarat karo unki” .* [Sahih Muslim, Jild 5, 5114] ❸ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Qabro ki ziyarat karo kyonke, yeh tumhey aakhirat ki yaad dilaati hain”. * [Sunan ibn Majah, Jild 1, 1569-Sahih] ❹ Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai: *“ Rasool-Allah, Muhammad

Allah Subhanahu se Magfirat aur Aafiyat maangne ki Dua.

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Azkar reminder: *" Allah Subhanahu se Magfirat aur Aafiyat maangne ki Dua. "* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - "* Allah Subhanahu se Magfirat aur Aafyiat maanga karo, kyonki yaqeen (yani Imaan) ke baad aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee" .* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 1482-Sahih] ✦ Hazrat Ibn Umar (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki - "* Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye dua <اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ> maangna kabhi nahi chorha yani rozana subah aur shaam mein isko padha karte thay ".* --- * اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ* --- *Allahumma inni as'alukal-afwa wal-aafiyah fid-dunya wal-aakhirah.* --- *Eh Allah, main Tujhse duniya aur aakhirat mein magfirat aur a