Daily Calendar - Quran & Hadith - 27.Dec.2021

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Jis ne kisi chidya ko befaaida maara hoga, to woh marne ke baad Allah Ta'ala ke saamne faryaad karegi”.* [Book of Nasai, 4451]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Woh shakhs bada achchha insaan hai, jo apne zaaid maal ko (mohtaajon par) kharch kare aur be faaida baatein karne se ruka rahe”.* [Book of Sho'bul Imaan, 3388]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai”.* [Book of Sho'bul Imaan, 4993]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Ae aadam ke bete (insaan) ! Agar tu zaroorat se zaaid maal (bhalaai ke kaamon mein) kharch kar de toh yeh tere liye behtar hai aur agar tu use roke rakhe toh yeh tere liye bura hai”.* [Book of Muslim, 2435]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya : *”Agar koi tumhaare saath bhalaai ka muaamla kare, to tum us ko us ka badla do”.* [Book of Nasai, 2567]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot

*WhatsApp Groups*

*Telegram Channel:*

► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80