Daily Quran Hadiths - 23 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Agar tum shukr karoge, to mein (Allah) tum ko apni neamatein aur zyaada ataa karunga".* (Quran: Chapter/Surah -E-Ibraahim: Verse/Ayat no. 07)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Tum gawaahi ko mat chhupaao aur jo shakhs gawaahi ko chhupaaye bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai".* (Quran: Chapter/Surah Baqarah: Verse/Ayat no. 283)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Agar insaan ke pass maal-o-daulat ke 2 jungle bhi ho jaaein to woh teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari: Hadees No. 6436)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne apni shahaadat aur beech ki ungli se ishaara kar ke farmaaya: *“Main aur yateem ki parwarish karne waala jannat mein is tarah honge. (Jis tarah yeh dono ungliyaan qareeb qareeb hain, usi tarah main aur yateem ki parwarish karne waala qareeb honge”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 6005)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: : *“Jo shakhs apne bhai ko bechi huwi cheez waapas le le, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kar dega.”.* [Book of Tabraani Ausat: Hadees No. 889)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•