Daily Calendar Hadiths - 25 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Rishtedaaron, yateemon aur gareebon ke saath bhi achchha bartaao karo".* (Quran: Chapter/Surah -Al-Baqra: Verse/Ayat no. 83)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Allah Ta’ala ko 3 baatein na pasand hain: (1) fuzool baatein, (2) rupya paisa barbaad karna, (3) bila zaroorat kasrat se maangna”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 1477 ]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta’ala us ko ajr ata farmaayega”.* [Book of Sahih Ibn E khuzaima: Hadees No. 1292 ]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ko: *“Jab bhi koi ahem kaam pesh aata toh namaaz padhne lagte”.* [Book of Abu Daaood: Hadees No. 1319 ]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: : *“Murdon ko gaali mat do; is liye ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pohchegi”.* [Book of Tirmizi : Hadees No. 1982]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•