Daily Calendar Hadiths - 22 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Maafi aur darguzar karne par Allah Ta’ala bande ki izzat badhaata hai”.* [Book of Muslim: Hadees No. 6592)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Murdon ko gaali mat do kyun ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pahonchegi”.* [Book of Tirmizi: Hadees No. 1982)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Yaqeenan insaan maal ki muhabbat mein bada pakka hai".* (Quran: Chapter/Surah Aadiyat: Verse/Ayat no. 8)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Tum jahaan kahin raho, Allah se darte raho”.* [Book of Tirmizi: Hadees No. 1987)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: : *“Mubaarak hai woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne waale) ho, us ki kamaai achchhi wa pakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefaana ho, log us ki buraai se mehfooz hon”.* [Book of Sho’abul Imaan: Hadees No. 3388)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•