Daily Calendar Hadiths - 31 December

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *“Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne'amaton ko jhutlaaoge”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 34)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *“Aapas mein ek doosre ka maal naahaq tareeqon se na khaao”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Baqrah: Verse/Ayat no. 188)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain”.* (Book of Musnad-e-Ahmad: Hadees No. 17483)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya:*“Mere baad Mujhe tum logon ke baare mein jis cheez ka sab se ziyaada dar hai, woh duniya ka banaao singaar hai, jo tum par khol diya jaayega”.* (Book of Bukhaari: Hadees No. 1465)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Beshak shaitaan tumhaara dushman hai, to tum bhi use dushman hi samjho”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Faatir: Verse/Ayat no. 6)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80