Daily Calendar Hadiths - 30 December

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: : *“Neki ka badla ehsaan wa ikraam ke siwa aur kya ho sakta hai?”* (Quran: Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 60)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *”Pahelwaan woh nahein hai, jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai, jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu rakhe”.* (Book of Bukhaari: Hadees No.6114)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Jo shakhs aisa raasta chale, jis ka maqsad ilm ki talaash ho, toh Allah Ta’ala us ke liye jannat ka raasta aasaan kar deinge”.* (Book of Muslim: Hadees No.6853)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya:*“Jo shakhs zulm-o-ziyaadati ke taur par aisa (qatal wa khoon) karega toh hum us ko aag (jahannam) mein daakhil kareinge”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 30)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta’ala dunya hi mein jaldi de dete hein. (1) Zulm (2) Maa baap ki naafarmaani”.* (Book of Jaamiul Ahaadees: Hadees No. 583)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80