Daily Calendar Hadiths - 28 December

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *“Raaste se takleef dene wali cheez ko hata dena sadqa (sawaab ki cheez) hai”.* (Book of Bukhari: Hadees No. 2989)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: : *“Sab se achchha aadmi woh hai, jo achchhi baaton ka hukm dene waala aur buri baaton se rokne waala hai”.* (Book of Sho'abul Imaan: Hadees No. 7950)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *“Bhali baat sikhaana behtar hai khaamoshi se aur khaamoshi behtar hai buri baat sikhaane se”.* (Book of Sho'abul Imaan: Hadees No. 4993)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:*“Agar tujh mein 4 cheezein ho toh duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahi hai: (1) Amaanat ki hifaazat (2) Baat mein sachchaai (3) Achchi aadat (4) Paakeeza rozi”.* (Book of Sho'abul Imaan: Hadees No. 5258)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jab tum log khaane ke liye baithho, toh chappal utaar liya karo, kyun ke yeh cheez tumhaare pairon ke liye raahat ka sabab hai”.* (Book of Kanzul Ummaal: Hadees No. 40726)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
 
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80