Daily Calendar Hadiths - 27 November

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab bimaari ko sahi dawa pahonch jaati hai, to Allah Ta’ala ke hukm se bimaari theek ho jaati hai”.* (Book of Muslim: Hadees No. 5741)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Tum log be zabaan jaanwar ke silsile mein Allah se daro, us ko achchhe tareeqe se khilaao aur aaraam se sawaari karo”.* ( Book of Abu daaood: Hadees No. 2548)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: : *“Allah Ta’ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere paas koi ajr nahin hai”.* (Book of Bukhaari: Hadees No. 6424)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Jo log naap tol mein kami karte hain, woh log qahat- saali (baarish ka na hona), pareshaaniyon aur baadshaah ke zulm ka shikaar ho jaate hain”.* (Book of Ibn-e-Maaja: Hadees No. 4019)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Ae jawanoo ki jamaat! Tum mein se jo shaadi karne ki istetat rakhta ho woh shadi kar le, yeh nigahon ko jhukanay aur sharmgah ki hifazat karne mein (doosri cheezon ki nisbat) barkar hai, aur jo istetat na paye, woh khud par rozay ko laazim kar le, yeh is ke liye is ki khwahish ko qata (kam) karne wala hai”.* (Book of Muslim: Hadees No. 3400)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•