Daily Calendar Hadiths - 31 October

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ►Allah (subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: “Dunyawi zindagi mein un ki rozi Hum (Allah) ne hi taqseem kar rakhi hai”. (Quran: Chapter/Surah-e-Zukhruf: Verse/Ayat no. 32)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: “Logon ki daulat ko lalchaayi nazron se mat dekho (apni qismat ki rozi par raazi ho jaao)". (Book of Mishkaat : Hadees No. 5226)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: “Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon". (Book of Bukhaari: Hadees No. 6474)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: ““Dunyavi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe””. (Quran: Surah-e-Zukhruf: Ayat/Verse No. 32)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
WhatsApp Groups 

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80