Allah Subhanahu har raat farmata hai kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua qubul karu

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Hadith-e-Qudsi: *“ Allah Subhanahu har raat farmata hai kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua qubul karu .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jab raat ka aakhri tihayee hissa baqi rah jata hai to hamara Rabb, Jo barkat wala aur Paak hai, har raat aasman-e-duniya ki taraf nuzul farmata hai aur farmata hai, 'Kaun hai jo Mujhse Dua karey ki Main uski Dua qubul karu; Kaun hai jo Mujhse maange ki main use du; kaun hai jo Mujhse bakhshish talab karey ki Main uski bakshish karu?' "* [Sahih Bukhari, 6321] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैराह (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *" जब रात का आखरी तिहाई हिस्सा बाक़ी रह जाता है तो हमारा रब्ब जो बरकत वाला और पाक है हर रात आसमान-ए-दुनिया की तरफ नुज़ूल फरमाता...