Posts

Daily Calendar Hadiths - 27 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Jis ne kisi chidya ko befaaida maara hoga, to woh marne ke baad Allah Ta'ala ke saamne faryaad karegi”.* [Book of Nasai, 4451] https://youtu.be/ESpD5DgO5dQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Woh shakhs bada achchha insaan hai, jo apne zaaid maal ko (mohtaajon par) kharch kare aur be faaida baatein karne se ruka rahe”.* [Book of Sho'bul Imaan, 3388] https://youtu.be/21TMIzh96Sg •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai”.* [Book of Sho'bul Imaan, 4993] https://youtu.be/x_IQA13Ca94 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Ae aadam ke bete (insaan) ! Agar tu zaroorat se zaaid maal (bhalaai ke kaamon...

Agar tum Allah Subhanahu par is tarah bharosa karo jis tarah bharosa karne ka haq hai to

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Agar tum Allah Subhanahu par is tarah bharosa karo jis tarah bharosa karne ka haq hai to…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Agar tum Allah Subhanahu par is tarah bharosa karo jis tarah bharosa karne ka haq hai to Allah Subhanahu tumhein is tarah Rizq dega jis tarah parindon ko Rizq deta hai. Jo subah ke waqt bhookhe pet jaate hain aur shaam ke waqt pet bhare huye wapas aate hain”. * [Al-Silsila-tus-Sahiha, 1374] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “अगर तुम अल्लाह सुबहानहु पर इस तरह भरोसा करो जिस तरह भरोसा करने का हक है तो अल्लाह सुबहानहु तुम्हें इस तरह रिज़्क़ देगा जिस तरह परिंदों को रिज़्क़ देता है । जो सुबह के वक़्त भूखे पेट जाते हैं और शाम के वक़्त पेट भरे हुए वापस आते हैं ।" * [अस-सिलसिला अस-सहिहा, 1374] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “If you were to ...

Daily Calendar Hadiths - 26 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari, 6436] https://youtu.be/kG3apBnxTWo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (judge) jannat mein jaayega”.* [Book of Abu Daaood, 3573] https://youtu.be/HwNm96o-F30 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne aurton se farmaya ke: *”Aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein”.* [Book of Abu Daaood, 5272] https://youtu.be/kfgngzl2F5o •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: * ”Bade gunaah yeh hain, Allah ke saath kisi ko shareek thehraana, waalidain ki na farmaani karna, kisi ko qatal...

Al-Quran: Phir us roz (Qayamat ke din) tumse naimaton

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al Quran: *“ Phir us roz (Qayamat ke din) tumse naimaton... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (Roman Urdu): *“ Phir us roz (Qayamat ke din) tumse naimaton ke baarey mein pucha jayega .”* [Al Quran, Surah Al–Takathur (102) , Ayat-8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान (हिंदी): *“ फिर उस रोज (कयमत के दिन्) तुम्से नैमतो के बारे मे पुछा जयेगा । "* [अल कुरान, सुरह अल तकासुर (102), आयत 8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al Quran: *“ Then on that Day you shall be asked about the delights.. . ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (English): *“ Then on that Day you shall be asked about the delights (you indulged in, in this world). ”* [Al Quran, Surah Al–Takathur (102), Verse-8] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• القرآن: *" پِھر اس روز ( قیامت كے دن ) تم سے نعمتوں كے بارے میں پوچھا جائیگا۔ "*  _ القرآن، سورة آلالتكاثر102، آیت 8 _ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/12/al-quran-phir-us-roz-qayamat-ke-din.html ...

Daily Calendar Hadiths - 25 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se zyada izzat waala Allah hai, is liye Us ne khuli ya chhupi har tarah ki be hayaai ko haraam qaraar diya hai”.* [Book of Bukhari, 4637] https://youtu.be/-oqxp_vEbj0 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Insaan ke liye sab se ziyaada paakeeza maal woh hai jo us ne khud kamaaya ho”.* [Book of Abu Daaood, 3527] https://youtu.be/bQcu-7a3qrU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Nisa: Verse/Ayat no. 2] https://youtu.be/FHodSpt3UsA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”4 cheezein khush naseebi ki alaamat hain : (1) Nek biwi (2) Bada makaan (3) Nek padosi (4) Achchi ...

Al-Quran : Beshak, mera Rabb hi Apne bando mein se jisey chaahe

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (Roman Urdu): * “Beshak, mera Rabb hi Apne bando mein se jisey chaahe Rozi kushaadah (badha) kar deta hai aur jisey chaahe tang kar deta hai.” * [Al Quran, Surah Saba (34), 39] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अल क़ुरान (हिंदी): * “बेशक, मेरा रब्ब ही अपने बन्दों में से जिसे चाहे रोज़ी कुशादाह (बड़ा) कर देता है और जिसे चाहे तंग कर देता है ।" * [अल क़ुरान, सूरह सबा (34), 39] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (English): * “Verily, my Lord expands the sustenance of whomever He wills of His servants and restricts whomever He wills.” * [Al Quran, Surah Saba (34) 39] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•‎ القرآن: * "بے شک، میرا رب ہی اپنے بندو ں میں سے جسے چاہے روزی کشادہ (بڑا) کر دیتا ہے اور جسے چاہے تنگ کر دیتا ہے۔" * _ القرآن، سورة سبا ٣٤، ٣٩ _ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ----- Please visit our NEW BlogSpot https://dailyquranhadiths.blogspot.com/2022/12/al-quran-beshak-mera-rabb-hi-apne-bando.html https://only-quran-hadith.blogspot.com/2022/12/a...

Shaitaan ka sabse zyaada pasandida amal Miya biwi mein judayee karwana hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith:  * “Shaitaan ka sabse zyaada pasandida amal  Miya biwi mein judayee karwana hai.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Jabir (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya -  * “Iblees (shaitan) apna takht paani per bichahta hai; phir wo apne lashkar rawana karta hai; uske sabse zyaada qareeb wo hota hai jo sabse bada fitnah dalta hai. Unmein se ek aakar kehta hai: 'Maine falah falah kaam kiya hai'. Wo kehta hai: 'Tumne kuch nahi kiya'. Phir unmein se ek aakar kehta hai: 'Maine us shakhs ko (jiske saath main tha) us waqt tak nahi chora yaha tak ke uske aur uski biwi ke darmiyan judayee kara di'. Iblis usko apne qareeb karta hai aur kehta hai tum sabse behtar ho'. Aamash ne kaha: 'Phir wo usay apne gale laga leta hai'”. *  [Sahih Muslim, 7106] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  हदीस (हिंदी): हज़रत जाबिर (रदी अल्लाहू अन्हु) से र...

Daily Calendar Hadiths - 24 December 2022

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Ek doosre ko tohfa diya karo, kyonki tohfa dil ke kine ko khatam kar deta hai”.* [Book of Tirmizi, 2130] https://youtu.be/_1MOg2x5kfM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se ziyaadah Jahannam mein le jaane waali cheez "ajwafan" do khokhli cheezain yaani munh aur sharamgaah hain”.* [Book of Ibn-e-Maaja, 4246] https://youtu.be/hfGr_T9UuH4 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho”.* [Book of Shoabul Imaan, 3427] https://youtu.be/kiYMRBLoWTM •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Agar tum sadqaat ko zaahir kar ke do, tab bhi achcha hai; aur agar un ko chupa kar gareebon ko de do, toh ye...