Daily Calendar Hadiths - 26 December 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari, 6436]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (judge) jannat mein jaayega”.* [Book of Abu Daaood, 3573]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne aurton se farmaya ke: *”Aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein”.* [Book of Abu Daaood, 5272]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Bade gunaah yeh hain, Allah ke saath kisi ko shareek thehraana, waalidain ki na farmaani karna, kisi ko qatal karna aur jhooti gawaahi dena”.* [Book of Bukhari, 6675]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah key aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya: *”Apne fursat ke auqaat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle”.* [Book of Mustadrak, 7846]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi