Posts

Tum mein se jo shakhs koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to wo shakhs (zimme se) bari ho gaya

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: * “Tum mein se jo shakhs koi buri baat dekhe aur usko apne haath se rok de to wo shakhs (zimme se) bari ho gaya.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Saeed Khudri (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Tum mein se jo shakhs koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo shakhs (zimmey se) bari ho gaya. Agar usmein itni taaqat na ho aur wo zubaan se rokey to wo bari ho gaya. Aur agar itni bhi taaqat na ho to wo dil se bura samjhey to wo bari ho gaya, ye Imaan ka sabse kam darja hai”. * [Sunan Nasaii, Jild 3, 1310-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू सईद खुदरी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “तुम में से जो शख़्स कोई बुरी बात देखे और उसको अपने हाथ से रोक दे तो वो शख़्स (ज़िम्मे से) बरी हो गया l अगर उसमें इतनी ताक़त ना हो और वो ज़ुबान से रोके तो वो ब...

Raaston par baithne se bacho ya phir raaste mein baithney ka haq adaa karo

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Raaston par baithne se bacho ya phir raaste mein baithney ka haq adaa karo…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Saeed Khudri (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Raaston par baithne se bacho”. * Sahaba (radi Allahu anhuma) ne arz kiya - * “Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), humari yeh Majlis to bahut zaroori hain, hum wahan par roz hone wali guftugu (baatein) kiya karte hain”. * Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Achcha, agar tum inn Majlis mein baithna hi chaahte ho, to raaste ka haq adaa kiya karo”. * Sahaba (radi Allahu anhuma) ne poocha - * “Raaste ka haq kya hai, ya Rasool-Allah (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam)?” * To Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Nazar neechi rakhna, raahgeeron (guzarne walon) ko naa sataana, salaam ka jawab dena, bh...

Daily Calendar Hadiths - 26 September 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Raaste par baithne ka haq yeh hai ke bhalaai ka hukm karo aur bure kaamon se mana karo".* [Book of Bukhari, 2465] https://youtu.be/khsaV0ZroIc •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Allah Ta'ala bande ki tauba us waqt tak qabool karte hain, jab tak ke gargara ki kaifiyat shuru na ho".* [Book of Tirmizi, 3537] https://youtu.be/Q5ue_sPIu6c •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“(Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante".* [Book of Bukhari, 6236] https://youtu.be/5bCC_NWOiKA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi...

Saari tareef aur ibadat sirf Allah hi ke liye hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhooom-Al-Quran: *“ Saari tareef aur ibadat sirf Allah hi ke liye hai. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (Roman) :  ❶ *“ Sab tareef Allah Subhanahu ke liye hai Jisne aasmaan aur zameen banaye aur andhera aur ujala banaya phir bhi ye kafir auro ko Allah ke barabar thahraate hain ”.* [Al Quran, Surah Al-Anaam(6), Aayat 1] ❷ *“ Tumko kafiro ka mulk mein chalna phirna dhokha na de de. Ye thoda sa fayda hai phir unka thikana Dozakh hai aur wo bahut bura thikana hai ”.* [Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Aayats 196-197] ❸ *“ Allah ko pukaro, Uskey liye ibaadat ko khaalis (pure) rakhte huye chahe kaafir bura maney ”.* [Al Quran, Surah Ghafir (40), Aayat 14] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान:  ❶ *“ सब तारीफ अल्लाह सुबहानहू के लिए है जिसने आसमान और ज़मीन बनाए और अंधेरा और उजाला बनाया फिर भी ये काफ़िर ओरों को अल्लाह के बराबर ठहराते हैं । "* [अल क़ुरान, सूरह अल-अनाम (6), आयत 1] ❷ *“ तुमको काफिरों का मुल्क में चलना फिरना धोखा ना दे दे, ये थो...

Rishtedaron, Mohtajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo aur Fizul kharchi se Maal na udao

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al-Quran: * “Rishtedaron, Mohtaajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo aur Fizul kharchi se Maal na udao.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (Roman Urdu): * “ Aur Rishtedaron aur Mohtaajon aur Musafiron ko unka Haq ada karo. Aur Fizul kharchi se Maal na udao ki Fizul kharchi karne wale to Shaitan ke bhai hain, aur shaitan apne parwardigaar (ki naimaton) ka kufran karne wala (yaani nashukra) hai.” * [Al Quran, Surah Isra (17), Ayat 26-27] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान(हिंदी): * “और रिश्तेदारों और मोहतज़ों और मुसाफिरों को उनका हक़ अदा करो । और फ़िज़ूल खर्ची से माल ना उड़ाओ की फ़िज़ूल खर्ची करने वाले तो शैतान के भाई हैं, और शैतान अपने रब्ब (की नैमतों) का कुफरान करने वाला (यानी नाशुक्रा) है ।" * [अल क़ुरान, सुराह ईसरा (17), आयत 26-27] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al-Quran: * “Give to the kinsman his due and to the Miskin (poor) and to the wayfarer but spend not wastefully (your wealth).” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al Quran (English): * “ ...

Daily Calendar Hadiths - 25 September 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Logon ke raaste aur saayadar jagah mein paakhaana peshaab aur gandagi na karo ".* [Book of Muslim, 618] https://youtu.be/QOGGpxtBwQU •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Shak wa shuba waali cheez ko chhod kar gair shak wa shuba wali cheez ko ikhtiyaar karo, is liye ke sachchaai mein itminaan hai aur jhoot mein shak wa shuba hai".* [Book of Tirmizi, 2518] https://youtu.be/eafFm_C21hI •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain: (1) Nafs ki kheaahishaat par chalna, (2) Lalach wa kanjoosi ko aadat bana lena, (3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai".* [Book of Sho'abul Imaan, 7252] https://youtu.be/6Xj14DoO8eQ •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  ...

Daily Calendar Hadiths - 24 September 2022

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Shaitaan to yahi chaahta hai ke sharaab aur juwe ke zariye tumhaare darmiyaan dushmani aur nafrat daal de".* [Al-Quran, Chapter/Surah-e-Maaidah, Verse/Ayat no. 81] https://youtu.be/V0JVufpp--g •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Kisi bande mein imaan aur hasad donon jama nahein ho sakte".* [Book of Sahih Ibne Hibbaan, 4606] https://youtu.be/civ5kvZb4Lo •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►   Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan nazar aaye, kyun ke sachchaai mein najaat hai".* [Book of Makaram Alakhlaq,  137] https://youtu.be/beixen5R3wA •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Saath mil kar kaam karne waalon par Allah ka haath (us ki madad) hota hai jab tak ke koi saathi...