Jumay ke din ek khaas waqt hota hain, jab jo bhi khair ki Dua maango to qubul hoti hain
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jumay ke din ek khaas waqt hota hain, jab jo bhi khair ki dua maango to qubul hoti hain .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (yaani Rasool-Allah) (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jumay mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko zaroor dega ”.* [Sahih Bukhari, Jild 6, 5294] ✦ Hazrat Jabir (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jumay ka din 12 ghante ka hai jisme koi momeen banda Allah Subhanahu se kuch mange to Allah usko zaroor ataa farmate hai, tum log usko Asr ke baad aakhri waqt mein talash karo ”.* [Sunan Nasaii, Vol 1, 1392-Sahih] ✦ Hazrat Anas bin Malik (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *...