Daily Calendar Hadiths - 25 November 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo Allah ko naaraaz karke logon ko raazi karna chaahega, to Allah Ta'ala us ko logon ke hawaale kar dega”.* [Book of Tirmizi, 6774]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Baap ke saath achchhe sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke baad us ke milne julne waalon ke saath achchha sulook kare”.* [Book of Muslim, 6679]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar insaan ke paas maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaaein to woh teesre ki khwaahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari, 6436]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Insaan ke qadam qayaamat ke din Allah ke saamne se us waqt tak nahi hateinge jab tak ke us se us ki jawaani ke baare mein sawaal na kar liya jaaye ke us ko kahaan kharch kiya”.* [Book of Tirmizi, 2416]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho”.* [Book of Muslim, 6680]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
*BlogSpot:*
*Telegram:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•