Daily Calendar Hadiths - 24 November 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ): *“Dozakh ki aag haraam hai har aise shakhs par jo tez mizaaj na ho balke narm ho, logon se qareeb hone waala ho, narm aadat waala ho”.* [Book of Tirmizi, 2488]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Yeh bahot hi badi khayaanat (dhokebaazi) hai ke tum apne bhai se koi jhooti baat bayaan karo aur woh tum ko us bayaan mein sachcha samajhta ho”.* [Book of Abu Daawood, 4971]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne sone chaandi ke bartan mein khaane peene se mana farmaaya”.* [Book of Bukhari, 5837]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Be shak Allah tauba karne waalon ko aur khoob paak saaf rehne waalon ko pasand karta hai”.* [Quran, Chapter/Surah-Baqarah: Verse/Ayat no. 222]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apni maaldaari ki qadr karo, gareebi aane se pehle”.* [Book of Mustadrak, 7846]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
*BlogSpot:*
*Telegram:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•