Daily Calendar Hadiths - 23 November 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Paak daaman aurton par zina ki tohmat lagaane ki bahot badi saza hai”.* [Quran, Chapter/Surah-Noor: Verse/Ayat no. 4]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Har gunaah se bacho, kyun ke gunaah ki wajah se Allah Ta'ala ka gussa naazil hota hai ”.* [Book of Musnade Ahmed, 22075]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab aadmi hamesha sach bolta hai aur sach bolna us ki aadat ban jati hai to Allah ke nazdeek Siddique (sachcha) likh diya jaata hai”.* [Book of Muslim, 6805]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Woh shakhs jannat mein nahi jaayega, jis ke dil mein zarrah baraabar bhi takabbur (ghamand) hoga”.* [Book of Muslim, 275]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Rasoolullah ﷺ ne mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali aurton par laanat farmaayi hai".* [Book of Bukhari, 5885]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot 

*WhatsApp Groups*

*BlogSpot:*

*Telegram:*


► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*


•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi