Daily Calendar Hadiths - 22 November 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Tum un logon ki taraf mat ho jaao, jo ek doosre se juda ho kar (aapas mein) ikhtelaaf karne lage”.* [Quran, Chapter/Surah-Aal-e-Imran: Verse/Ayat no. 105]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs Allah Ta'ala se dare us ke liye maaldaari mein koi haraj nahein”.* [Book of Ibne Maaja, 2141]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr karne lagenge”.* [Book of Musnade Ahmed, 10858]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Jo shakhs jahannam ki aag se bacha kar jannat mein daakhil kar diya gaya, toh woh sahi maane mein kaamyaab ho gaya”.* [Quran, Chapter/Surah-Aal-e-Imraan: Verse/Ayat no. 185]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *"Rasoolullah ﷺ ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaayi hai".* [Book of Bukhari, 5885]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
-----Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
*BlogSpot:*
*Telegram:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our Youtube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•