Daily Calendar Hadiths - 30 September 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Galti har insan se hoti hai, lekin behtareen galti karne waala woh shakhs hai jo galti ke baad tauba karle".* [Book of Ibne Maaja, Hadees No.4251]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Beshak parhezgaar log jannat ke baagon aur chashmon mein rahenge".* [Quran, Chapter/Surah-e-Hijr: Verse/Ayat no. 45] 
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *Pahelwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe".* [Book of Bukhari, Hadees No.6114]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Tum Qur'aan ko achchhi aawaaz se padho".* [Book of Abu Daawood, Hadees No.1468]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80