Daily Calendar Hadiths - 29 September 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

► *Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ne mazloom (jis par zulm ho raha ho) ki madad karne ka hukm diya hai.* [Book Bukhari, Hadees No.2443]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jis shakhs ko qasam khaana ho to use chaahiye ke woh Allah (ke naam ya us ki sifaat) ki qasam khaaye ya chup rahe".* [Book of Bukhari, Hadees No.6646]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
 Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“(Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi".* [Book of Abu Daawood, Hadees No.4799]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam)  peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the aur farmaate the: *“Aisa karne se itminaan ho jaata hai, takleef aur beemari se hifaazat hoti hai aur woh (pee hui) cheez khoob hazam hoti hai".* [Book of Jamia at Muslim, Hadees No.5406]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80