Daily Calendar Hadiths - 02 July 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs apne bete ko apni ladki par tarjeeh (badhaawa) nahin dega to woh Jannat mein daakhil hoga”.* [Book of Abu Dawood, 5146]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ne ehsaan karne waale bande ka shukriya ada nahein kiya, us ne Allah ka bhi shukr ada nahein kiya”.* [Book of Tirmizi, 1955]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Aur Allah behayaai, buraai aur zulm se rokta hai, Woh tumhein naseehat karta hai taake tum naseehat qubool karo".* [Quran, Chapter/ Surah-Nahl: Verse/Ayat no. 90]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kaamil imaan waale woh log hain, jin ke akhlaaq sab se achchhe hain aur tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hain”.* [Book of Tirmizi, 1162]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs takabbur karta hai, Allah Ta'ala us ko zaleel kar deta hai”.* [Book of Musnade Bazzar, 946]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab