Daily Calendar Hadiths - 28 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Zaroorat mand logon ki sifarish kar diya karo, is mein tumhain badla milega”.* [Book of Bukhari, 6028]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah Ta'ala ne tumhaari shifa haraam cheez mein rakhi hi nahein hai”.* [Book of Saheeh Ibne Hibbaan, 1391]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jab tum log khaane ke liye baithho, to Chappal utaar liya karo, kyun ke yeh cheez tumhaare pairon ke liye raahat ka sabab hai”.* [Book of Kanzul Ummaal, 40726]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Beemaariyon mein maut ke siwa aisi koi bimaari nahi, jis ke liye kalonji mein shifa (cure) na ho”.* [Book of Muslim, 5899]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se”.* [Book of Sho'abul Imaan, 4993]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua