Daily Calendar Hadiths - 26 June 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Hadiya de kar waapas lene wala us kutte ki tarah hai jo qai (vomit) karke chaat leta hai”.* [Book of Bukhari, 6975]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Badtareen ghar woh hai, jis mein koi yateem ho aur us ke saath bura sulook kiya jaaye”.* [Book of Ibne Maaja, 3679]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Apne fursat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle”.* [Book of Mustadrak, 7846]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Naap tol poora poora kiya karo aur logon ko un ki cheezein kam kar ke na diya karo aur zameen mein us ki islaah ke baad fasaad mat phailaate phiro".* [Quran Chapter/ Surah-A'raaf: Verse/Ayat no. 85]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne aurton se farmaya ke: *“aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein”.* [Book of Abu Dawood, 5272]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80