Daily Calendar - Quran & Hadith - 20 April 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi se aisa waada na karo, jis ko tum poora na kar sako".* [Book of Tirmizi, 1995]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchha maal se badla na karo".* [Quran, Surah-e-Nisa; Verse/Ayat-02]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis ne kisi ki bhalaai ki taraf rehnumaai ki to us shakhs ko bhi amal karne waale ki tarah sawaab milega".* [Book of Abu Daaood, 5129]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“(Main mazaak karta hoon) magar us mein bhi haq baat hi bolta hoon (mazaaq mein bhi jhoot nahi bolta)".* [Book of Tirmizi, 1990]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta".* [Book of Tirmizi, 1954]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
*Telegram Channel:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•