Daily Calendar - Quran & Hadith - 25 March 2022
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Aye aurto! Tum apne gharon mein thehri raha karo aur zamana-e-jaahiliyat ki tarah be parda mat phiro".* [Quran, Chapter/Surah-E-Ahzab Verse/Ayat no.33]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Agar Tum mein se koi apne bhai se muhabbat karta ho, to us ko bata de ke us ko us se muhabbat hai".* [Book of Abu Daaood, 5124]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Logon mein bura aadmi woh hai jise gussa jaldi aaye aur der se jaaye".* [Book of Tirmizi, 2191]
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi gareeb ko dene par (sirf) sadqe ka sawaab milta hai; lekin (gareeb) rishtedaar ko (dene par) dugna sawaab milta hai: (1) Sadqe ka (2) Rishtedaaron ke saath achcha sulook karne ka".* [Book of Mustadrak, 1476]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain; (1) Nafs ki khwaahishaat par chalna, (2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena, (3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai".* [Book of Sho’abul Imaan, 7252]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
----- Please visit our NEW BlogSpot
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
*Telegram Channel:*
► *LIKE, FOLLOW & SHARE this Page:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► *Subscribe to our YouTube channels:*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•




