Khana kha kar shukr karne ka sawaab roza rakhne ke barabar hai

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *" Khana kha kar shukr karne ka sawaab roza rakhne ke barabar hai ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Sinan bin Sannah Al-Aslami (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Khana kha kar (Allah ka) shukr ada karne walon ko roza rakh kar sabr karne walon ke barabar sawaab milta hai ".* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1765-Hasan] --- * الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّة * --- * Alhamdulillahillazi atamni haza wa razaqnihi min gairi haulin minni wa la quwwah .* --- * Tamaam tarifein us Allah ke liye hai jisne mujhe ye khana khilaya aur meri kudrat aur taaqat na hone ke bawjud ye ataa farmaya .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत सिनन बिन सन्नाह अल-अस्लमी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फ़रमाया - *" खान...