Daily Calendar Hadiths - 22 May
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Agar mard apne ghar waalon par sawab ki niyyat se kharch kare, to ye kharch karna us ke haq mein sadqa hoga”. [Book of Bukhaari :55]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan hi nazar aaye, kyun ke sachchaayi mein najaat hai ”. [Book of Kanzul Umaal :6856]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne: “Aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaayi hai ”. [Book of Bukhaari :5885]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: “Jo shakhs jahannam ki aag se bacha kar jannat mein daakhil kar diya gaya, toh woh sahi maane mein kaamyaab ho gaya". (Quran: Chapter/Surah-aal-Imraan: Verse/Ayat no. 185)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr karne lagenge”. [Book of Musnade Ahmed :10858]
*WhatsApp groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
--- *Image Credit: _Deeniyat(dot)com_*
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/




