Daily Calendar Hadiths - 25 May

 

                                                        *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Tum sachchaai ko mazbooti se pakdo aur hamesha sach bolo”.  [Book of Muslim  :6639]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala baazaar mein cheekh wa pukaar karne waalon ko pasand nahein farmaata hai”.  [Book of AL adabul mulrad  :310]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: “Tumhaare darmiyaan ek jamaat aisi honi chahiye jo ke afraad (logon ko) bhalaayi ki taraf bulaayein, achche kaamon ka hukm dein aur buraayi se rokein aur yahi log kaamyaab hone waale hain". (Quran: Chapter/Surah-Aal-e-Imraan: Verse/Ayat no. 104)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Insaan ke qadam qayaamat ke din Allah ke saamne se us waqt Tak nahi hateinge jab Tak ke us se us ki jawaani ke baare mein sawaal na kar liya jaaye ke us ko kahaan kharch kiya”.  [Book of Tirmizi  :2416]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Agar insaan ke paas maal-o-daulat ke 2 jungal bhi ho jaayein to woh teesre ki khwahish karega aur insaan ka pet to qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.  [Book of Bukhaari  :6436]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_

--- *Image Credit: _Deeniyat(dot)com_*

► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/

Popular posts from this blog

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Allah se Aulad maangne ki Dua

Short Dua #80