Daily Calendar Hadiths - 19 May

     

                                                        *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Shaadi karne mein maal wa daulat, husn wa jamaal aur hasab wa nasab ko tarjih na do, balke deendaar aurat se shaadi kaamyaab ho jao ”.* [Book of Bukhaari :5090]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Allah ki qasam! Woh aadmi (kaamil) imaan waala nahein ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho”.* [Book of Bukhaari :6016]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs narmi se mehroom raha woh saari bhalaai se mehroom raha”.* [Book of Muslim :6763]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Aadmi jab hamesha sach hi bolta hai aur sachchaai hi ko ikhtiyaar kar leta hai toh Allah ke nazdeek siddique (sachcha) likh diya jata hai”.* [Book of Muslim :6805]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai, shaitaan aag se paida kiya gaya hai aur aag ko paani se bujhaaya jata hai, lihaaza jab tum mein se kisi ko gussa aaye to us ko wuzu kar lena chiye”.* [Book of Abu daaood:4784]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp groups*
https://chat.whatsapp.com/DpeeMw8CPSY9nxIH9C6ZFk _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_

--- *Image Credit: _Deeniyat(dot)com_*

► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi