Posts

Showing posts from April, 2021

Daily Calendar Hadiths - 30 April

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Murde par rona chillana jaahiliyat ke kaamon mein se hai”.* [Book of Ibn-e-Maaja, 1582] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Tum na to kamzor pado, na dukhi ho".*  [Quran, Surah-aal-e-Imran; Verse/Ayat-139] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Qarz ki addaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm hai”.* [Book of Bukhari, 2400] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Apne beemaron ko zabardasti khilane pilane ki koshish na karo, kyun ke Allah Ta’ala unhein khilata aur pilata hai”.* [Book of Tirmizi, 2040] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Allah Ta’ala ne 3 aadmiyon par Jannat haraam kardi hai: (1) Sharaab peene waala, (2) Maan

Zewraat (Gehne) ki Zakat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * Zewraat (Gehne) ki Zakat .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadiths (Roman Urdu):  ✦ Hazrat Abdullah ibn Amr ibn Al Aas (radi allahu anhu) se rivayat hai ki ek Aurat Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke pass aayee. Uski beti bhi uskey saath thi aur uski beti ke haath mein soney (gold) ke do bade-bade kangan thay. Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne poocha - *“ Kya aap in kangano ki zakat dete ho?” * Usney kaha - *“ Nahi ”.* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Kya aapko ye pasand hai ki Qayamat ke din Allah aapko aag ke kangan pahnaye ”.* Ye sunkar usne usi waqt kangan utar diye aur aapki khidmat mein pesh kartey huye kaha - *“ Ye Allah aur uskey Rasool, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke liye hain ".* [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 1550-Hasan] ✦ Hazrat Abdullah Bin Shaddad (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki hum log Hazrat Aisha (radi Allahu anha) ke paas gaye

Daily Calendar Hadiths - 29 April

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Bagair ilm wa tajarbe ke ilaaj karoge to tum se puchha jaayega”.*  [Book of Abu Daaood, 4586] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Be shak Allah Ta’ala itraane waale, badaai maarne waale ko pasand nahein karta".*  [Quran, Surah-e-Nisa; Verse/Ayat-36] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum mein se kisi ka luqma gir jaaye to use saaf kar ke kha le, shaitaan ke liye na chhode”.* [Book of Muslim, 5303] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum wazan karo toh jhukta wazan karo”.* [Book of Tirmizi,1305] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ): * “Ko jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past karte the”.*

Rozedar ko do khushiyan haasil hongi

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Rozedar ko do khushiyan haasil hongi .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Rozedar ke liye do khushiyan haasil hongi, ek to jab wo iftar karta hai to khush hota hai, aur dusra jab wo apne Rab se mulaqat karega to apne roze ka sawaab paakar khush hoga ".* [Sahih Bukhari, 1904] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ रोज़ेदार को दो खुशिया हासिल होंगी, एक तो जब वो इफ्तार करता है तो खुश होता है, और दूसरा जब वो अपने रब से मुलाक़ात करेगा तो अपने रोज़े का सवाब पाकर खुश हो जायेगा l"* [सही बुखारी, 1904] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ There will be two pleasures for the fasting person .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Abu Hurairah (may Allah b

Daily Calendar Hadiths - 28 April

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  *“Agar aadmi ke paas do jungle maal ke ho jaayen, to teesre ki talaash karega, insaan ka pet qabr ki mitti hi bhar sakti hai”.* [Book of Bukhari: Hadees No. 6436] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai”.* [Book of Sho’abul Imaan, 8152] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega”.* [Book of Musnade Bazzaar, 1399] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaayi ki ummeed karein aur hs ke shar (takleef) se mehfooz ho”.* [Book of Tirmizi, 2263] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sa

Rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi zyaada pasandeeda aur pakeeza hai

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi zyaada pasandeeda aur pakeeza hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Us zaat ki kasam jiske haath mein meri jaan hai, rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi zyaada pasandeeda aur pakeeza hai ".* [Sahih Bukhari, Jild 3, 1894-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू हुरैरा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फ़रमाया - *“ उस ज़ात की कसम जिसके हाथ में मेरी जान है, रोज़ेदर के मुँह की बू अल्लाह के नज़दीक मस्क की खुश्बू से भी ज़्यादा पसंदीदा और पाकीज़ा है l"* [सही बुखारी, जिल्द 3, 1894-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ The smell coming out from the mouth of a fasting person is better in the sight of Allah than the sm

Daily Calendar Hadiths - 27 April

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Aye Insaano aur Jinnato! Tum apne Rab ki kin kin ne’maton ko jhutlaaoge?".*  [Quran, Surah-e-Rehman; Verse/Ayat-34] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne bura kiya to yaqeenan tum ne bura kiya”.* [Book of Moajama Ausat, 2982] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Jab tum mein se kisi ko gussa aaye to use chaahiye ke khaamoshi ikhtiyaar kare.”* [Book of Musnade Ahmed, 2136]   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ►  Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: * “Woh shakhs (kaamil) Imaan waala hai, jo pet bhar kar khaaye aur us ka padosi bhooka rahe”.* [Book of Sho’abul Imaan, 5660] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: * "Agar faisla karo

Qayamat ke din us darwaze se sirf rozedaar hi jannat mein daakhil honge

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Qayamat ke din us darwaze se sirf rozedaar hi jannat mein daakhil honge .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Sahl bin Saad (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jannat mein ek darwaza hai jise 'Ar-Raiyan' kehte hain, qayamat ke din us darwaaze se sirf rozedaar hi jannat mein daakhil honge unke siwa aur koi usmein se daakhil nahi hoga. Pukaara jaayega ki rozedar kaha hain? Wo khade ho jaayenge, unke siwa us se aur koi andar nahi jaa paayega. Aur jab ye log andar chale jaayenge to ye darwaaza band kar diya jaayega phir us se koi andar nahi jaa sakega ".* [Sahih Bukhari, Vol 3, 1896-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत सहल बिन साद (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फ़रमाया - *“ जन्नत में एक दरवाज़ा है जिसे 'अर रेयान' कहते हैं, क़यामत के दिन उस दरवा

Aur jo beemar ho ya safar mein ho to dusre dinon mein roza rakh kar un ka shumaar poora kar le

Image
 *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Aur jo beemar ho ya safar mein ho to dusre dinon mein roza rakh kar un ka shumaar poora kar le .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran (Roman Urdu): *" Ramadan ka maheena jis mein Quran naazil huwa, jo logon ka rehnuma hai aur jis mein hidayat ki khuli nishaniyaan hain aur jo haq aur baatil ko alag alag karne waala hai. Toh jo koi tum mein se is mahine mein mojood ho, usko chaahiye ke poore mahine ke roze rakhe ".* ✦ *" Aur jo beemar ho ya safar mein ho, to dusre dinon mein rakh kar un ka shumaar poora kar le. Allah tumhaare haq mein aasani chaahta hai, aur sakhti nahi chaahta. Aur yeh aasani ka hukum is liye diya gaya hai ke tum rozon ka shumaar poora karlo, aur is ehsaan ke badle Allah ne tum ko hidaayat bakhshi hai. Tum Us ki badaai bayaan karo aur Us ka shukar karo ".* [Surah Al-Baqarah (2), Aayat 185] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान (हिंदी): *" रमज़ान का महीना जिस में क़ुरान नाजिल हुआ, लोगों का रहनुम

Daily Calendar Hadiths - 26 April

Image
                                                                   *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*                                                                         •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:  “Logon mein sab se bura woh hai, his ki umar lambi ho aur amal bure ho.” [Book of Tirmizi : Hadees No.  2939 ]   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:     “Zameen par sab se behtareen paani aabe zamzam hai, yeh khaane waale ke liye khaana aur bimaar ke liye shifa hai.” [Book of Tabraani Ausaat : Hadees No. 4059] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai.” [Book of Mua’tta Malik : Hadees No. 1670]   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “(Sab se afzal (behtar) sadqa yeh hai ke) tu u

Daily Calendar Hadiths - 25 April

Image
  *Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*                                                                         •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Logon mein sab se  behtar woh hai, jis ki umar lambi ho aur amal achchhe hon.” [Book of Musnad-e-Ahmed : Hadees No. 2939] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya:   “Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dho le.” [Book of Bukhaari : Hadees No. 162] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: "Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein had se aage na badho, jis ke nateeje mein tum par mera gazab naazil ho jaaye". (Quran: Surah-Taha; Verse/Ayat-81)   •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•    ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: “Allah ta’ala farmaata hai: Ae mere bando! Main ne apne oopar zulm ko har

Iftar ki daawat dene waalon ke liye dua

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *” Iftar ki daawat dene waalon ke liye dua .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah bin Zubair (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki - *" Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne Muadh (radi Allahu anhu) ke wahaan roza iftar kiya to unko yeh dua di ki :* --- * أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ * --- * Aftara 'indakumus-saa imuna wa akala ta’aamakumul-abraru wa sallat alaikumul-mala’ikah .* --- * Rozedar tumhaare yahaan iftar kare, neik log tumhaara khaana khaaye aur farishte tumhaare liye dua kare ."* [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1747-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्लाह बिन ज़ुबैर (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की - *“ रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने मुआज़ (रदी अल्लाहू अन्हु) के वहाँ रोज़ा इफ़्तार किया तो उनको ये दुआ दी की l"* --- *ََِِ أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ ا