Daily Calendar Hadiths - 22 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum apni jaan, aulaad, khaadim aur maal ke haq mein kabhi bhi barbaadi ki baddua na kiya karo".* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 1532]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo apne bhai ki khareedi huei cheez waapas le le, qayaamat ke din Allah us ke gunaah maaf kar dega".* [Book of Mo’ajame Ausaat : Hadees No. 889]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Sab se ziyaada Jahannam mein le jaane waali cheez pet aur sharmgaah hai".* [Book of Ibne Maaja : Hadees No.4246]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs fuzool kharchi karta hai, Allah Ta’ala us ko gareeb bana deta hai".* [Book of Musnade Bazzaar : Hadees No. 946]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Aapas mein ek doosre ka maal na haq tareeqon se na khaao".* (Quran: Chapter/Surah E-Baqarah Verse/Ayat no.188)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•