Daily Calendar Hadiths - 20 March
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jo shakhs apne bete ko apni ladki par tarjih (badhaya) nahi dega to Allah Ta'ala use jannat mein daakhil karega".* [Book of Abu Daaood: Hadees No. 5146]
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis shakhs ne na-haq kisi zameen ka thora sa hissa bhi le liya, to qayamat ke din usay saat zamiinon tak dhasaya jayega".* [Book of Bukhari : Hadees No. 2454]
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Sab se ziyaada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain".* [Book of Ibn-e- Maaja : Hadees No. 4246]
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Namaaz qaaim karo aur logon ko neki ka hukm karo aur buraayi se roko".* (Al-Quran: Chapter/Surah Luqmaan, Verse/Ayat no.17)
►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Barkat khaane ke beech mein naazil hoti hai, is liye tum bartan ke kinaare se khaao, beech mein se mat khaao".* [Book of Sunan Tirmizi : Hadees No. 1805]
*WhatsApp Groups*
https://chat.whatsapp.com/LAhxpCHXXCF6CrKa27sM5D _*(ONLY FOR MALES)*_
https://chat.whatsapp.com/Jz8yourlsC18wSfsmY0hOE _*(ONLY FOR FEMALES)*_
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•




