Daily Calendar Hadiths - 19 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Jo log is duniya mein achchha kaam karte hain (un ke liye aakhirat mein) bhalaai hai."* (Quran: Chapter/Surah-e-Zumar Verse/Ayat no.10)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Jhoot se bacho, chaahe us mein kaamyaabi nazar aaye, kyun ke jhoot mein bahar haal barbaadi hai."* [Book of Kanzul ummaal : Hadees No. 6856]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“ Raaste par baithhne ka haq yeh hai ke nigaah neechi rakho, salaam ka jawaab do, neki ka hukm karo aur bure kaamon se roko."* [Book of Bukhari : Hadees No. 2465]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Insaan ko apni har zaroorat Allah se maangni chaahiye yahaan tak ke namak, aur agar joote ki patti bhi toot jaaye, toh Allah hi se maange."* [Book of Tirmizi : Hadees No. 3604]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon."* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2263]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi