Daily Calendar Hadiths - 18 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Behtareen neki yeh hai ke aadmi apne baap ke doston ke sath achchha bartaao kare”.* [Book of Tirmizi : Hadees No. 1903]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►*Jab koi paaon ke dard ki shikaayat karta, to Aap, Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) farmaate: ne farmaya: "Mehndi lagaao."* [Book of Abu Daaood: Hadees No. 3858]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Kisi par Allah ki laanat na bhejo aur na us ke gazab ki dua do aur na hi dozakh ki bad dua do."* [Book of Abu Daaood: Hadees No. 4906]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Jis aadmi ne kisi se qarz liya, aur us ki niyyat qarz ada karne ki na ho, toh woh chor hone ki haalat mein Allah se milega."* [Book of Ibn-e- Maaja : Hadees No. 2410]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed karein aur us ke shar se mehfooz hain."* [Book of Tirmizi : Hadees No. 2263]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•