Daily Calendar Hadith - 21 March

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Zameen par akad kar mat chalo".*(Quran: Chapter/Sura-e-Bani Israail, Verse/Ayat no.37)


►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Neki aur buraayi baraabar nahein hoti; is liye tum buraayi ka jawaab aise tareeqe se do jo behtareen ho".* (Al-Quran: Chapter/Sura-e-Haameem Sajda, Verse/Ayat no.34)


►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Tum apni qasmon ko aapas mein fasaad daalne ka zariya na banao".* (Quran: Chapter/Surah An-Nahl, Verse/Ayat no.64)

►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum qayaamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaaoge, is liye naam achche rakha karo".* [Book of Abu Daaood: Hadees No. 4548]


►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Tum apne kisi bhai se jhagda na karo aur na us se mazaaq karo (jis se us ko takleef ho) aur us se aisa waada na karo jis ko poora na kar sako".* [Book of Tirmizi : Hadees No. 1995]



*WhatsApp Groups*

► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/
► *LIKE & SHARE this Page:* FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

Popular posts from this blog

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

“Zakat-ul-Fitr Ghulam aur Azaad, Mard aur Aurat, Chotey aur Badey tamaam Musalmano par farz hai.”

Iss dua ko raat ko padhne ke baad agar maut bhi aajaye to Islam par hogi