Daily Calendar Hadiths - 27 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Us shakhs ke liye barbaadi hai, jo logon ko hasaane ke liye jhooth bole”.* [Book of Abu Daaood : Hadees No. 4990]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Allah us muttaqi daulatmand bande se muhabbat karta hai, jo (taqwa aur daulat ke baawjood) naama’roof aur chhupa huwa ho”.* [Book of Muslim: Hadees No. 7621]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta’ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai”.* [Book of Sho’abul Imaan: Hadees No. 4886]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari lele, main us ke liye jannat ki zimmedaari leta hoon”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 6474]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) Teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya : : *“Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 6016]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•