Daily Calendar Hadiths - 20 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Tum sab ke sab Allah Ta’ala se tauba kar ko, taake tum kaamyaab ho jaao".* (Quran: Chapter/Surah Noor: Verse/Ayat no. 31)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *"Yaqeenan insaan maal ki muhabbat mein bada pakka hai".* (Quran: Chapter/Surah Adiyaat: Verse/Ayat no. 08)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ): *“Peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the; is tarah peene se itminaan haasil hota hai, takleef aur beemari se hifaazat hoti hai aur woh cheez khoob hazam ho jati hai”.* [Book of Muslim: Hadees No. 5406)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Maa baap ki nafarmaani ke alaawa jis gunaah ki saza ko Allah chaahe toh qayaamat ke din tak moakhkhar (delay) kar deta hai, magar maa baap ki nafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta hai”.* [Book of Mustadrak: Hadees No. 7263)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: : *“(Na mahram ko dekhne waali) Har aankh zina kaar hai”.* [Book of Tirmizi: Hadees No. 2786)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•