Daily Calendar Hadiths - 17 February

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Duniya mein is tarah raho, koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta chalta musafir”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 6416]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Daawat dene waale ki daawat qabool kar lo aur (hadya dene waale ka) hadya waapas mat karo”.* [Book of Sahih Ibn Habban: Hadees No. 5603]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Aye logo! Allah Ta’ala se daro, aur rozi talaash karne mein neki aur parhezgaari ka tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de”.* [Book of Sho’abul Imaan: Hadees No. 10376]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: *“Pehalwaan woh nahi jo saamne waale ko gira de, balke pehalwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (aap) par qaabu rakhe”.* [Book of Bukhaari: Hadees No. 6114]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaaya: : *“Jo shakhs kharch karne mein na kanjoosi karta hai aur na fuzool kharchi karta hai, to Allah Ta’ala us ko maaldaar bana deta hai ”.* [Book of Musnade Bazzar: Hadees No. 946]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•