* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom: * “Hurmat wale mahine chaar (4) hain aur inmein apne upar zulm na karo (yani gunah na karo)." * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: * “Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah (12) mahine hai, Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char (4) hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijjah, Muharram aur Rajab). Yahi seedha deen hai isliye inmein (in mahino mein) apne upar zulm na karo (yani gunah ke kaam na karo)”. * [Al Quran, Surah At-Tauba (9), Ayat 36] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Bakra (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Saal barah mahine ka hota hai, unmein chaar hurmat ke mahine hain, teen to ek ke baad ek 'Dhul Qaida', 'Dhul Hijjah' aur 'Muharram' aur ek 'Rajab' jo 'Jamadil Aakhir' aur 'Shabaan' ke darmiyan hota hai”. * [Sahih Bukhari, Jild 6, 5550] •┈...