Daily Calendar Hadiths - 29 November

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi *“Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne khade ho kar paani peene se mana farmaya hai”.* (Book of Ibn-e-Maaja: Hadees No. 3424)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Apni zabaan par qaabu rakho. (Kisi ko takleef pahonchaane waali baat mat bolo)”.* ( Book of Tirmizi: Hadees No. 2406)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Nek logon se muhabbat karna aadhi aqalmandi hai”.* (Book of Sho’bul Imaan: Hadees No. 6568)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya:  *"Be shak yeh Qur’aan woh raasta dikhaata hai jo sab se ziyaada seedha hai”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Bani Israaeel: Ayat no. 9-Mafhoom)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga”.* (Book of Abu Daaood: Hadees No. 3244)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•