Daily Calendar Hadiths - 28 November

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*
 •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: *"Allah Ta’ala hi ne aasmaan ko buland kiya”.* (Quran: Chapter/Surah-e-Rahman: Verse/Ayat no. 7)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jis shakhs mein amaanatdaari nahein, us mein imaan nahein”.* ( Book of Sho’bul Imaan: Hadees No. 4354)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
  ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Rozaana jab Allah ke bande subah ko uthhte hai, to 2 farishte aasmaan se utarte hain; un mein se ek kehta hai: Aye Allah! (Achchhe kaamon mein) Kharch karne waale ko aur maal ata farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma.* (Book of Bukhaari: Hadees No. 1442)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya:  *“Tum qabron ki ziyaarat kar liya karo, is ka faaida yeh hoga ke tumhaara yeh amal tumhein aakhirat yaad dilaayega”.* (Book of Ibn-e-Maaja: Hadees No. 1569)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 
 ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: *“Jo aurat duniya se is haal mein chali jaaye ke us ka shohar us se raazi tha, to woh Jannat mein daakhil hogi”.* (Book of Mustadrak: Hadees No. 884)
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
*WhatsApp Groups*

 --- Image Credit: _Deeniyat(dot)com_ 

LIKE & SHARE this Page: FB.com/Quran.Arabic.Urdu1/ 
LIKE & SHARE this Page: FB.com/DailyQVH/
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•