Posts

Showing posts from October, 2020

Daily Calendar Hadiths - 31 October

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ►Allah (subhanahu wa-ta'ala) ne Quran mein farmaya: “Dunyawi zindagi mein un ki rozi Hum (Allah) ne hi taqseem kar rakhi hai” . (Quran: Chapter/Surah-e-Zukhruf: Verse/Ayat no. 32) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: “Logon ki daulat ko lalchaayi nazron se mat dekho (apni qismat ki rozi par raazi ho jaao)".  (Book of Mishkaat : Hadees No. 5226) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: “Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon". (Book of Bukhaari: Hadees No. 6474) •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: “ “Dunyavi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doo

Allah subhanahu farmata hai agar tumne Shirk nahi kiya ho to mein zameen bhar magfirat lekar tumse milunga

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith-Qudsi: * "Allah Subhanahu farmata hai agar tumne Shirk nahi kiya ho to Main zameen bhar magfirat lekar tumse milunga.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Dhar (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Allah Subhanahu farmata hai Neki (ka ajar) 10 guna hai ya Main ziyada bhi kar sakta hu aur gunah ek hi hai ya Main usko bhi bakhash dun, agar tum zameen bhar ke gunah le kar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho to Main bhi zameen bhar magfirat lekar tumse milunga”. * [Al-Silsila As-Sahiha, 1037] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू ज़र (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “अल्लाह सुबहानहु फरमाता है नेकी (का अजर) 10 गुना है या मैं ज़्यादा भी कर सकता हूँ, और गुनाह एक ही है या में उसको भी बखश दूं, अगर तुम ज़मीन भर के गुनाह ले कर मुझ से इस हाल में

Daily Calendar Hadiths - 30 October

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya: “Safarjal (Pear) khaaya karo, kyunke yeh dil ko raahat pahonchaata hai” . [Book of Ibn-e-Maajah, 3369]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: * "Yateem (bachche aur bachchiyon) ka maal khaana bahot bada gunaah hai".* [ Book of Mustadrak Haakim, 1447]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•   ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: * “Allah Ta’ala ne 3 aadmiyon par Jannat haraam kardi hai: (1) Sharaab peene waala, (2) Maan baap ka naafarmaan, (3) Dayyus jo apni biwi ki buraai par raazi ho”.*  [Book of Musnade Ahmad, 1372]  •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•  *WEAK/DAEEF HADITH * ► Allah ke aakhri nabi Muhammad (ﷺ sallallahu alaihi wasallam) ney farmaya: “ Anjeer khaao, kyun ke yeh bawaaseer (piles) ko kha

Meezan per bhaari Azkar

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ * Meezan per bhaari Azkar. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * ‎سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه وَ رِضـا نَفْسِـه وَزِنَـةَ عَـرْشِـه وَ مِـدادَ كَلِمـاتِـه* --- *SubhanAllaahi wa bihamdihi Adada khalqihi, Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi Wa Midaada Kalimaatihi. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * Main Allah Subhanahu ki paaki bayan karta hu, Uski makhluqat ki tadad ke barabar, aur Uski khushi ke barabar, aur Uske Arsh ke wazan ke barabar, aur Uske kalimat ki siyahi(ink) ke barabar.* --- *मैं अल्लाह सुबहानहु की पाकी बयान करता हूँ उसकी मख्लुकात की तादाद के बराबर,और उसकी खुशी के बराबर, और उसके अर्श के वज़न के बराबर, और उसके कालीमत की सियाही (ink) के बराबर l* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ * Adhkar which is heavy on the scale (meezan). * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * ‎سُبْحـانَ اللهِ وَبِحَمْـدِهِ عَدَدَ خَلْـقِه وَ رِضـا نَفْسِـه وَزِنَـةَ عَـرْشِـه وَ مِـدادَ كَلِمـاتِـه* --- *SubhanAllaahi wa bihamdihi Adada khalqihi, Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arsh

Juma ki namaz ko pabandi se padhne walo ki fazilat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jumay ki namaz ko pabandi se padhne walo ki fazilat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Allah Subhanahu Qayamat ke din, dino ko (yani Sunday, Monday... in sabko) unki halat mein zaahir karega aur Jumay ke din ko chamakta hua (sitaare ki tarah) zaahir karega. Ahl-e-Juma (Juma ki namaz ka pabandi se ehatmam karne wale) usko is tarah ghere huye honge jaise dulhan ko uske shohar ki taraf bhejte huye gher liya jaata hai. Yeh (Jumay ka din) unke liye (Ahl-e-Juma ke liye) roshni karega aur woh uski roshni mein chalenge. Unke rang baraf ki taraf safed honge aur unki khushbu kasturi ki tarah phoot rahi hogi. Woh kafoor ke pahad mein mashgul honge. Jinn aur Insaan unko dekh rahe honge aur who taajjub ki wajah se nigah neechi nahi karenge yaha tak ki wo Jannat mein dakhil ho jayenge. Aur sawab ki niyyat se Azaan dene walo ke alawa koi bhi un logo

Khana khane ke baad ye Dua padhne se pichle gunah maaf ho jate hain

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *" Khaana khane ke baad ye Dua padhne se pichle gunah maaf ho jate hain ."* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Sahl bin Muadh (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jo shakhs khana khane ke baad ye dua padhega to uske pichle gunah maaf kar diye jayenge".* --- *الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّة* --- *Alhamdulillahillazi At-'amani haza wa razaqneehi min gairi haulin minni wala Quwwah.* --- *Tamaam tarifein us Allah ke liye hai Jisne mujhe ye khaana khilaya aur meri kudrat aur taqat na hone ke bawjud ye ataa farmaya."* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 1383-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत सहल बिन मुआज़ (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *" जो शख्स खाना खाने के बाद ये दुआ पढ़ेगा त

Har wo shakhs jo apne Qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Har wo shakhs jo apne Qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai un par dozakh ki aag haram hai .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Al Quran: *“ Logon se apna rukh na pher aur zameen par itra kar na chal. Beshak, Allah kisi takabbaur karne wale, itrane wale ko pasand nahi karta .”* [Al Quran, Surah Luqman (31), Aayat-18] ►Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah bin Masood (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain? Har wo shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai) ”.* [Jamia Tirmizi, Jild 2, 377-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ अल क़ुरान: *“ लोगों से अपना रुख़ ना फेर और ज़मीन पर इतरा कर ना चल l बेशक, अल्लाह किसी तकब्बुर करने वाले, इतराने वाले को पसंद नही करता l”* [अल क़ुरान: सुरह ल

Tumhari zubaan ko har waqt Allah Subhanahu ke Zikr se tar rakho

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Tumhari zubaan ko har waqt Allah Subhanahu ke Zikr se tar rakho .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah bin Busr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki ek shakhs ne arz kiya - *" Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), Islam ke ahkam bahut zyada ho gaye hain, Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu ."* To Aap Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Tumhari zubaan ko har waqt Allah Subhanahu ke zikr se tar rakho ".* [Jamia Tirmidhi, 3375-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अब्दुल्लाह बिन बुसर (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की एक शख्स ने अर्ज़ किया - *" या रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम), इस्लाम के अहकाम बहुत ज़्यादा हो गये हैं, आप मुझे कोई ऐसी चीज़ बता दीजिए जिसको में हमेशा के लिए इख़्तियार कर लूँ l”* तो आप मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *" तुम्हारी

Al Quran: Unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ Unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran(Roman Urdu): *" Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) Allah ke Rasool hain aur jo log unke saath hain wo kuffar par sakht hain aur aapas mein raham dil hain, tum unhe dekhoge ki ruku aur sujud kar rahe hain, Allah ka fazal aur khushnudi talash karte hain unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain ."* [Surah Fath (48), Aayat-29] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ अल क़ुरान (हिंदी): *" मुहम्मद मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) अल्लाह के रसूल हैं और जो लोग उनके साथ हैं वो कुफ़्फ़ार पर सख़्त हैं और आपस में रहम दिल हैं, तुम उन्हे देखोगे की रुकु और सुजूद कर रहें हैं अल्लाह का फ़ज़ल और खुशनुदी तलाश करते हैं उनकी पहचान उनके चेहरों पर सजदों के निशान हैं ।"* [सुरह फ़तह(48), आयत-29] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Al Quran: *“ The mark of them (of their faith) is on their faces (foreheads) from the traces of prostration (during prayers) .”* •┈┈┈┈

Aulad ke Astagfar karne se marhum waldein ke darje buland hote hain

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Aulad ke Astagfar karne se Marhoom waldein (maa-baap) ke darje buland hote hain .”* • ┈┈┈┈ •• ✦✿✦ •• ┈┈┈┈ • ► Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Hurairah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad ( ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to woh arz karta hai ‘yeh kaise hua?’ irshad hota hai ki ‘tumhari Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab ’”.*. [Sunan Ibn Majah, Jild 3, 541-Hasan]   ❷ Hazrat Aisha (radi Allahu anha) se rivayat hai ki ek shakhs aaya aur usney Rasool-Allah, Muhammad ( ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) se poocha - *“ Meri maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki. Agar wo bolti to zaroor sadqa deti. Ab agar main uski taraf se sadqa du to kya usey sawab hai? ”* Aap, Muhammad ( ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Haan .”* [Sahih Muslim, Jild 3, 2326]   ✦ _ NOTE: is hadees se yeh saabit hota hai ki n

Azaan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki shafaat milegi

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * Azaan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ki shafaat milegi .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Jabir bin Abdullah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *" Jo shakhs Azaan sunkar ye kahe usey Qayamat ke din meri shafaat milegi:* --- *اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ* --- *Allahumma Rabba hadhihi-d-da' watit-tammati was-salatil qa'imati, ati Muhammadan al-wasilata wal-fadilata, wab' athhu maqaman mahmudan-il-ladhi wa' adtahu.* --- *Eh mere Allah, Jo is sari pukar ka Rabb hai, aur Qayam rahne wali namaz ka bhi Rabb hai, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ko Qayamat ke din waseela (sabse aala muqam) ataa farma, aur Ma

Jamaat ke saath padhi jane wali Namaz ki Fazilat

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Jamaat ke saath padhi jane wali Namaz ki Fazilat .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadith (Roman Urdu): Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Do (2) aadmeeyo ki namaz ke un mein ek imamat karwaye, Allah Subhanahu ke nazdik tanha padhi jaane wali aath (8) Namazoh se behtar hai aur chaar (4) admeeyo ki namaz ke inn mein se ek shakhs imamat karwaye, Allah Subhanahu ke nazdik un sao (100) namazo se behtar hai, jo tanha padhi jaye ”.* [Al Silsila As Sahiha, 629] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ दो (2) आदमीयो की नमाज़ उन में एक ईमामत करवाए, अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक तन्हा पढ़ी जाने वाली आठ (8) नमाज़ों से बेहतर हैं और चार (4) आदमीयो की नमाज़ के उन में एक शख्स ईमामत करवाए, अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक उन सौ (100) नमाज़ों से बेहतर हैं जो तन्हा पढ़ी जाए l”* [अल सिलसिला अस सहीहा, 629] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Supremacy of Salah/

Azkar: La ilaha illAllahu wahdahu la sharika lahu

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ * Azkar reminder * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ* --- *La ilaha illAllahu wahdahu la sharika lahu, lahul-mulku wa lahul-hamdu Yuh-ii wa Yumeetu, wa huwa Ala kulli shayin qadir. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * Allah ke siwa koi sachcha mabud nahi hai, Wo akela hai aur Uska koi sharik nahi, Usee ke liye baadshahat hai aur Usee ke liye taarif hai; Wo hi zinda karta hai aur Wo hi maarta hai aur Wo har cheez par qaadir hai .* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * अल्लाह के सिवा कोई सच्चा माबूद नही है वो अकेला है और उसका कोई शरीक नही, उसी के लिए लिए बादशाहत है और उसी के लिए तारीफ है वो ही ज़िंदा करता है और वो ही मारता है और वो हर चीज़ पर क़ादिर है l* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• --- * There is no Lord except Allah, Alone with no partner, to Him belongs the dominion, and to Him is all the praise, He gives life and death, and He has power over a

Dajjal se jung ke waqt musalmano Ghouta mein jama honge

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Dajjal se jung ke waqt musalmano Ghouta mein jama honge .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Darda (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ (Dajjal se) Jung ke waqt musalmano Ghouta mein jama honge , jo is shahar ke ek janib mein hai jisko damishk kaha jata hai , jo ki Mulk-e-sham (Syria) ke behatreen shahro mein se hai” .* [Sunan Abu Dawud, Jild 3, 893-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत अबू दर्दा (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - *“ (दज्जाल से) जंग के वक़्त मुसलमान गौता में जमा होंगे, जो इस शहर के एक जानिब में है जिसको दमिश्क कहा जाता है, जो की मुल्क-ए-शाम (सीरीया) के बेहतरीन शहरो में से है l”* [सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 893-सही] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Place of assembly of the Muslims at the time of the war will be in al-Ghutah .”* •┈┈┈┈••✦

Ghar se wuzu karke Masjid mein Farz namaz ke liye jane par Hajj par jaane jitna sawab

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: *“ Ghar se wuzu karke Masjid mein Farz namaz ke liye jaane par Hajj par jaane jitna sawab .”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadiths (Roman Urdu): ✦ Hazrat Abu Umamah (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jo shakhs apne ghar se wuzu karke Farz namaz ki niyyat se nikle to usko utna sawab milega jitna ki ehram baandh kar Hajj par jane ka hota hai. Aur jo shakhs Duha (ishraq ya chasht) ki namaz ki niyat se nikle aur uski khatir takleef bhi bardasht kare to uska sawab Umrah karne wale ki tarah hai. Aur ek namaz se le kar doosri namaz ke beech koi behuda baat (ya kaam) na kiya jaye to wo namaz illiyeen mein likhi jayegi ”.* [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 556-Sahih] ✦ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jab tum mein se koi shakhs achchi tarah wuzu karke namaz ke liye nikalta hai, to wo apna Dahina (right) qadam nahi uthata lekin Allah

Khana kha kar (Allah ka) shukr ada karne walo ko rozedar ke barabar sawab milta hai

Image
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * “Khana kha kar (Allah ka) shukr ada karne walo ko rozedar ke barabar sawab milta hai....” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Sinan Al-Aslami (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - * “Khana kha kar (Allah ka) shukr ada karne walo ko roza rakhkar sabr karne walo ke barabar sawab milta hai”. * [Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1765-Hasan] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत सिनान अल-अस्लमी (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फरमाया - * “खाना खा कर (अल्लाह का) शुक्र करने वालों को रोज़ा रखकर सब्र करने वालों के बराबर सवाब मिलता है l” * [सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 1765-हसन] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦ Mafhoom-e-Hadith: * “A grateful eater (the one who praise Allah after eating) will have a reward like that of a fasting person...”. * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (English): Narrated Sinan Al-Aslami