Qabr ka Azaab - Torment of grave
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Qabr ka Azaab.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Ibn Abbas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) do (2) Qabron ke paas se guzrey aur farmaya - * “In dono (Qabron ke) Murdon par azaab ho raha hai aur yeh kisi badey gunaah ki wajah se azab mein giraftar nahi hain, bulki yeh (ek qabar ka murda) peshaab ke cheenton se nahi bachta tha aur yeh (dusri qabar ka murda) chugalkhor (backbiter) tha”. * Phir Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ney ek hari shaakh mangwayee aur usey do (2) tukdon mein tod kar dono Qabron par laga di aur iskey baad farmaya - * “Jab tak yeh shaakhein sookh na jaayegi, us waqt tak shayad in dono ka azaab halka rahey”. * [Sahih Bukhari, Jild 7, 6052] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► हदीस (हिंदी): हज़रत इब्न अब्बास (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की रसूल-अल्लाह, मुहम्मद (ﷺ सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) दो (2) क़ब्रों के पास से गुज़र...