Posts

Showing posts from April, 2024

Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz

Image
*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *“ Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ) ki Aakhri ashre mein Qayam Al Lail (Tahajjud) ki namaz…” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abu Zarr (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki humne Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ke saath Ramzan ke roze rakhe un hone humko 23 raat tak Qayam-Al-Lail ki namaz nahi pdhayee. Phir 23 raat ko ek tihayee raat tak namaz padhate rahe. Phir 24 raat ko namaz nahi padhayee aur phir 25 raat ko aadhi raat tak namaz padhate rahe. Maine arz kiya - *“ Ya Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam), kaash aap baaqi raat mein bhi hamare saath isee tarah namaz ada farmate” .* Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne irshaad farmaya - *“ Jo shakhs Imam ke saath (Qayam mein) khada ho aur uske faarig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam-Al-Lail (sari raat namaz pdhne) ka sawab milta hai” * Aur uske baad Aap, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne 27 r