Allah Subhanahu Qayamat ke din Sahib-e-Quran se farmayega parhta ja aur (Jannat mein) charhta ja

* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Hadith: *“ Allah Subhanahu Qayamat ke din Sahib-e-Quran se farmayega parhta ja aur (Jannat mein) charhta ja. ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► Al-Quran (Roman Urdu): *" Humein shaam ki surkhi ki Qasam; aur raat ki aur jin cheezon ko wo ikattha kar leti hai unki; aur chaand ki jab kaamil ho jaye; ki tum darja ba Darja (Rutba-e-Aala par) charhogey ".* [Al-Quran, Surah Inshiqaq (84), Ayat 16-19] ► Hadith (Roman Urdu): Hazrat Abdullah ibn Amr ibn Al-Aas (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ (Qayamat ke din) Saahib Quran se kaha jayega ke parhta ja aur (Jannat mein) charhta ja aur thahar-thahar kar parho jaisa ki tum duniya mein parhte thay, tumhari manzil (muqaam) wo hai jaha tum aakhri aayat parh kar khatm karoge” .* [Sunan Abu Dawood, Jild 1, 1451-Sahih] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अल क़ुरान (हिंदी): *" हमे शाम की सुर्खी की क़सम; और रात की और जिन चीजो को वो इकत्था कर ले...