Jis Musalman ke (janaze ke) liye 2 aadmee achchayee ki gawahi de de, usko Allah Subhanahu Jannat mein dakhi
* Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: * “Jis Musalman ke (janaze ke) liye 2 aadmee achchayee ki gawahi de de, usko Allah Subhanahu Jannat mein dakhil farmata hain.” * •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ✦Hazrat Abu Aswad (radi Allahu anhu) se rivayet hai: Main Madina aaya to yahan waba (beemari) phailee hui thi, log badi tezi se mar rahe thay. Main Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ki khidmat mein tha ke ek janaza guzra, logon ne is mayyat ki taareef ki to Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne kaha * “(Jannat) wajib ho gayi”. * Phir doosra guzara, logon ne is ki bhi taareef ki. Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne kaha - * “(Jannat) wajib ho gayi”. * Phir teesra guzra, to logon ne uski buraiee ki. Hazrat Umar (radi Allahu anhu) ne kaha - * “(Dozakh) wajib ho gayi”. * Maine poocha - * “Ya Ameer-ul-Momineen, kya wajib ho gayi?” * Unhone kaha - * “Main ne isee tarah kaha hai jis tarah Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya tha. Aap, Muhammad (ﷺ) ne...