Jab teen (3) shakhs hoon to unmein se ek Imam ho jaaye aur...

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ★ Mafhoom-e-Hadith: *" Jab teen (3) shakhs hoon to unmein se ek Imam ho jaaye aur... ”* •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ►Hadiths (Roman Urdu): ❶ Hazrat Abu Saeed Al-Khudri (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Jab teen (3) shakhs hoon to unmein se ek Imam ho jaaye aur Imamat ka zyada haqdar woh hai jo Quran zyada padha ho ”.* [Sahih Muslim, Jild 2, 1529] ❷ Hazrat Abu Masood Al-Ansari (radi Allahu anhu) se rivayat hai ki Rasool-Allah, Muhammad (ﷺ sallAllahu alaihi wasallam) ne farmaya - *“ Logon ki imamat woh karey jo Quran zyada jaanta ho, aur agar Quran mein barabar ho to sunnat zyada jaanta ho, agar sunnat mein barabar ho to jisney pehley hijrat ki ho, agar hijrat mein barabar ho to jo Islam pehley laya ho”. Ek rivayat mein ‘Islam’ ki jagah ‘umar’ kaha gaya yaani jiski umar zyada ho .* [Sahih Muslim, Jild 2, 1532] •┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ► अहादीस / हदीसें (हिंदी): ❶ हज़रत अबू...