Daily Calendar Hadiths - 11 May 2022

*Bismillah-hir-Rahman-nir-Rahim*

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

►Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne farmaya: *“Qarz ki adaaigi par taaqat rakhne ke baawajood taal matol karna zulm hai”.* [Book of Sahih Bukhari, 2400]

https://youtu.be/iRZW8oiqQWE

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Maai’dah : Verse/Ayat no. 02]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“(Aye Imaan waalo!) kisi ke uyoob ki talaash mein mat raho”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Hujuraat : Verse/Ayat no. 12]

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah ke aakhri nabi Muhammad (sallallahu alaihi wasallam ﷺ) ne apni shahaadat aur beech ki ungli se ishaara kar ke farmaaya : *“Main aur yateem ki parwarish karne waala jannat mein is tarah honge. (Jis tarah yeh dono ungliyaan qareeb hain, usi tarah mein aur yateem ki parwarish waala qareeb honge)”.* [Book of Bukhari, 6005]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
► Allah (Subhanahu wa-ta'ala) ney Quran mein farmaya: *“Gareebi ki wajah se apne bachchon ko qatl na karo, ham tumhein bhi rizq denge aur un ko bhi”.* [Quran, Chapter/Surah-e-Anaam : Verse/Ayat no. 15]
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•

•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• 

Popular posts from this blog

Allah se Aulad maangne ki Dua

Har namaz ke baad 33 martaba Subhanallah, Alhamdulillah aur Allahu Akbar kehne ka sawaab

Kisi se khauff ya khatre ke waqt padhne ki dua